Rajputgal's poetry collection
Would you like to react to this message? Create an account in a few clicks or log in to continue.

By Rahul - Senti

Go down

By Rahul - Senti Empty By Rahul - Senti

Post  rahulkumariitc Sun Jan 04, 2009 4:19 am

Dosti Ke Nam Pe Diwane


Dosti Ke Nam Pe Diwane Chale Aate Hai
Shama Ke Piche Parwane Chale Aate Hai

Tumhe Yad Na Aayee Khair
Aana Meri Maut Par. Us Din To Begane Bhi Chale Aate Hai

Yeh sach hai ki. Aa jata hai shohrat ka Asar
Insaan to kiya dar-o-deewar badal jate hai

Aur bewafa badle ya naa badle
Waqt aane par wafadar badal jate hai

Har dhadkan mein ek raz hota hain
Har baat ko batane ka ek andaz hota hai

Jab tak thokar na lage bewafai ki
Har kisi ko apne pyar par naz hota hai

Pee hai sharab har gali har mehkhane se
Ek dosti si ho gai hai sharab ke jam se

Gujre hai hum kuch aise mukam se

Ki nafarat si ho gai mohabbat ke naam se
rahulkumariitc
rahulkumariitc
Admin

Posts : 7
Join date : 2009-01-04

Back to top Go down

By Rahul - Senti Empty Re: By Rahul - Senti

Post  rahulkumariitc Sun Jan 04, 2009 8:11 am

Kaise


Tum mere nahin ho is dil ko main samjhaooon kaise
Sunhari yaadain tumhari main dil se mitaaoon kaise
Jaane kab chupke se aan basey tum mere man main
Bas tum hi tum ho wahan, tumko main dikhaaoon kaise

Har shaam de kar jaati hai mujhe dard ki tanhaaiyaan
Har subah deti hai nayi ummedain unhain bujhaaoon kaise

Zindagi jee raha hoon main ek benaam si saza ki tarah
Rooth gaya hai jo Khuda us ko main manaaoon kaise
Ya Rab na kat sakega safar-e-zindagi kisi aur ke humraah
Ye baat dil ki main us sitamgar ko samjhaaoon kaise !!!!
rahulkumariitc
rahulkumariitc
Admin

Posts : 7
Join date : 2009-01-04

Back to top Go down

Back to top

- Similar topics

 
Permissions in this forum:
You cannot reply to topics in this forum